Thursday, April 1, 2010

Chand aur Tum...

aati thi woh chand sa apna noor bihkherke,
jaati thi neend pe apna suroor bikherke....
tumhare rehte jindagi roj purnima lagti thi,
ab woh bhi 15 din mein dikhta hai aur tumhari chandni bhi...

Aankein khuli ho ya ho band...

tumhe bhool jaane ke liye toh humein apni neend ko bhi bhoolana hoga,
waise bhi khwaboon mein toh pehle dekhte the, ab toh khuli aankhon se bhi dikhai deti ho...

Maut, tu ek kavita hai (Movie-Anand)

Maut tu ek kavita hai ..
mujhase ek kavita ka vaadaa hai milegi mujhako ..

dubati nabzon mein jab dard ko neend aane lage
zard saa cheharaa liye chaand ufak tak pahunche
din abhi paani mein ho raat kinaare ke kareeb
na abhi andheraa ho, na ujaalaa ho, na raat na din
jism jab khatm ho aur ruuh ko saans aae .

mujhase ek kavita ka vaadaa hai milegii mujhako ..

To say or not to say?!?!

jinse chahte hain aaj hum ikraar karna,
unhein khabar bhi nahin ki kya hai humare dil mein....
khushi hai humein unke liye,
kyunki woh hain kareeb unke jinse unhe chahat thi.......
kehte hain ki kisi bhi haal mein ikraar kar dena chahiye,
par unke dil ki uljhan se unhe bahut dard hoga isliye chuppi rakhkar dard sehne ki khushnaseebi humein manjoor hai...